Thursday, June 4, 2009

Mere dard ki inteha..

Ashqon mein duboo kar,
rooh ko tar rakhta hoon.
main is dard ki....
thodi to khabar rakhta hoon.
yun na kehna hamein,
chaahat ka koi lihaaz nahin,
use hi poojta hoon..
uska hi asar rakhta hoon.
na jaane kab is hizr ki.
..inteha hogi.
waqt pe pehra main..
shaam-0-shahar rakhta hoon.

Sunday, May 31, 2009

Do qadam

Bahut dooriyan hain darmiyaan,
ab to sanam chalein.
Ye faasle mitaane ke liye,
bas do qadam chalein.
gar ab bhi sochte rahein,
to koi silaa,na mil sake
thoda sa tum chalo,
thoda sa hum chalein
Iraade jo buland hoon,
to kuchh farq to aayega hi
chaahe aandhiyaan aayein,
chaahe sitam chalein
saare daanv,saari aadat
is zehaan ki dekh lee..
ab chalo dil ko nigehbaan,
kar ke hum chalein

Khwab

Chota hi sahi,magar...khwab to hai,
Mujhe apni chahaton ka kuch hisaab to hai,
ab faasla hai to kya hua...taay to hona hi hai..
mera manzeelon ke waaste,ik zawaab to hai..

Aa bhi jaa..

aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
jo sitaare tere tabassum se jamaal huye
un sitaaron mein abhi tak wo chamak baaki hai.

aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
teri qadmon se simat kar jo jinda hui
abhi tak us paazeb ki chhanak baaki hai

aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
jin galiyon se ho ke guzre the mere yaar ke qadam
abhi tak un galiyon mein kasak baaki hai.

aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
aa bhi jaa..
teri yaadon ki mehak baaki hai.
chala tha dil-e-aaftaab jo dastaan kehne
thode warq,ab talak baaki hain.

Khudi

meri khusiyaan,meri chahhat,aur mera paimaana hai,
chal dekhein ae khaaq-e-hasti hisse kya kya aana hai!
-o-
main saaya hoon,humsaaya hoon,main saath-saath hoon,
........na samjho,kuchh bhi nahin hoon,yaa qaaynaat hoon!

Saturday, May 30, 2009

Main ghumnaam...

thanksgiving..to the desires and the pain....

main ghumnaam sa hi rehta..,ghumshuda sa rehta..
ye justjoo na hoti.,.to bewajah sa rehta..
ya chaahatein na hoteen..,to jindagi na hoti..
ye lafz na hote..,to bezubaan sa rehta...

kabhi sochta hoon,dard-o-gham ki,
...pairwee kar loon..
jo naa chahte mujhe to khushiyon se,
ik faasla sa rehta..